Thahre lamhon ki rawani mein chhupa baiTha hai
Thahre lamhoñ kī ravānī meñ chhupā baiThā hai
merā kirdār kahānī meñ chhupā baiThā hai
ek din kaam vo aa.egā jalāne ke liye
aag kā ruup jo paanī meñ chhupā baiThā hai
kaaT Daale haiñ kisī shaḳhs ne kīkar ke daraḳht
saañp to raat kī raanī meñ chhupā baiThā hai
vaqt raftār madāroñ se kahāñ samjhoge
raaz jo hālat-e-fānī meñ chhupā baiThā hai
khul ke hañsne bhī nahīñ detā mujhe logoñ meñ
ik buḌhāpā sā javānī meñ chhupā baiThā hai
Thahre lamhon ki rawani mein chhupa baiTha hai
mera kirdar kahani mein chhupa baiTha hai
ek din kaam wo aaega jalane ke liye
aag ka rup jo pani mein chhupa baiTha hai
kaT Dale hain kisi shaKHs ne kikar ke daraKHt
sanp to raat ki rani mein chhupa baiTha hai
waqt raftar madaron se kahan samjhoge
raaz jo haalat-e-fani mein chhupa baiTha hai
khul ke hansne bhi nahin deta mujhe logon mein
ek buDhapa sa jawani mein chhupa baiTha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.