Thahre pani mein ye mahtab sa rakkha kya hai
Thahre paanī meñ ye mahtāb sā rakkhā kyā hai
aap kī aañkh meñ sailāb sā rakkhā kyā hai
merī taqdīr meñ to koī bhī ta.abīr nahīñ
phir ye palkoñ pe mirī ḳhvāb sā rakkhā kyā hai
maiñ ne motī ke zaḳhīre to bahut dekhe haiñ
sāmne gauhar-e-nāyāb sā rakkhā kyā hai
ai mire Dūbte sūraj ye batā de mujh ko
tere dāman meñ ye mahtāb sā rakkhā kyā hai
maiñ ne dekhī haiñ zamāne kī sharābeñ 'nīlam'
tere shīshe meñ ye tezāb sā rakkhā kyā hai
Thahre pani mein ye mahtab sa rakkha kya hai
aap ki aankh mein sailab sa rakkha kya hai
meri taqdir mein to koi bhi tabir nahin
phir ye palkon pe meri KHwab sa rakkha kya hai
main ne moti ke zaKHire to bahut dekhe hain
samne gauhar-e-nayab sa rakkha kya hai
ai mere Dubte suraj ye bata de mujh ko
tere daman mein ye mahtab sa rakkha kya hai
main ne dekhi hain zamane ki sharaben 'nilam'
tere shishe mein ye tezab sa rakkha kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.