Thahri Thahri si tabiat mein rawani aai
Thahrī Thahrī sī tabī.at meñ ravānī aa.ī
aaj phir yaad mohabbat kī kahānī aa.ī
aaj phir niiñd ko āñkhoñ se bichhaḌte dekhā
aaj phir yaad koī choT purānī aa.ī
muddatoñ baa'd chalā un pe hamārā jaadū
muddatoñ baa'd hameñ baat banānī aa.ī
muddatoñ baa'd pashemāñ huā dariyā ham se
muddatoñ baa'd hameñ pyaas chhupānī aa.ī
muddatoñ baa'd khulī vus.at-e-sahrā ham par
muddatoñ baa'd hameñ ḳhaak uḌānī aa.ī
muddatoñ baa'd mayassar huā maañ kā āñchal
muddatoñ baa'd hameñ niiñd suhānī aa.ī
itnī āsānī se miltī nahīñ fan kī daulat
Dhal ga.ī umr to ġhazloñ pe javānī aa.ī
Thahri Thahri si tabiat mein rawani aai
aaj phir yaad mohabbat ki kahani aai
aaj phir nind ko aankhon se bichhaDte dekha
aaj phir yaad koi choT purani aai
muddaton ba'd chala un pe hamara jadu
muddaton ba'd hamein baat banani aai
muddaton ba'd pasheman hua dariya hum se
muddaton ba'd hamein pyas chhupani aai
muddaton ba'd khuli wusat-e-sahra hum par
muddaton ba'd hamein KHak uDani aai
muddaton ba'd mayassar hua man ka aanchal
muddaton ba'd hamein nind suhani aai
itni aasani se milti nahin fan ki daulat
Dhal gai umr to ghazlon pe jawani aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.