thak kar jab bhi baiTh gaya hun main pipal ki chhanw mein
thak kar jab bhī baiTh gayā huuñ maiñ pīpal kī chhāñv meñ
gautam aaya gautam aaya shor machā hai gaañv meñ
khoj meñ us kī shahroñ shahroñ ghuum rahā huuñ sadiyoñ se
jis kā naam likhā hai mere hāthoñ kī rekhāoñ meñ
mat le jaao dhuup ke us jangal meñ bojhal āñkhoñ ko
chubh jā.eñge ḳhār-e-haqīqat ḳhvāb ke komal paañv meñ
apne man kī āshāoñ ke phuul pironā kaam mirā
ma.anī kī ḳhushbū tum sūñgho shabdoñ kī mālāoñ meñ
sūraj kī kirnoñ kī barchhī ruuh ko zaḳhmī kartī hai
aao yaaro lauT chaleñ ham tang-o-tār guphāoñ meñ
thak kar jab bhi baiTh gaya hun main pipal ki chhanw mein
gautam aaya gautam aaya shor macha hai ganw mein
khoj mein us ki shahron shahron ghum raha hun sadiyon se
jis ka nam likha hai mere hathon ki rekhaon mein
mat le jao dhup ke us jangal mein bojhal aankhon ko
chubh jaenge KHar-e-haqiqat KHwab ke komal panw mein
apne man ki aashaon ke phul pirona kaam mera
mani ki KHushbu tum sungho shabdon ki malaon mein
suraj ki kirnon ki barchhi ruh ko zaKHmi karti hai
aao yaro lauT chalen hum tang-o-tar guphaon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.