thak ke baiThun to mujhe rasta nazar aaega
thak ke baiThūñ to mujhe rasta nazar aa.egā
shaam is dasht meñ guzregī to ghar aa.egā
soch kar merī mohabbat meñ qadam rakhnā tum
is se aage to bahut lambā safar aa.egā
muntazir āñkheñ kisī taaq meñ bujh jā.eñgī
koī hogā hī nahīñ koī agar aa.egā
siikh jā.ūñgā tire ba.ad bhī jiinā lekin
mujh ko ai dost tire hijr se Dar aa.egā
mujh tak aate hue duniyā use rokegī bahut
ruk bhī jā.egā kisī raah meñ par aa.egā
umr ke din to isī aas meñ kaT jaate haiñ
raat Dhal jā.egī aur vaqt-e-sahar aa.egā
vaqt kī qaid se āzād mah-o-sāl se duur
ik zamāna hai ki jo bār-e-digar aa.egā
thak ke baiThun to mujhe rasta nazar aaega
sham is dasht mein guzregi to ghar aaega
soch kar meri mohabbat mein qadam rakhna tum
is se aage to bahut lamba safar aaega
muntazir aankhen kisi taq mein bujh jaengi
koi hoga hi nahin koi agar aaega
sikh jaunga tere baad bhi jina lekin
mujh ko ai dost tere hijr se Dar aaega
mujh tak aate hue duniya use rokegi bahut
ruk bhi jaega kisi rah mein par aaega
umr ke din to isi aas mein kaT jate hain
raat Dhal jaegi aur waqt-e-sahar aaega
waqt ki qaid se aazad mah-o-sal se dur
ek zamana hai ki jo bar-e-digar aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.