thakan ka bojh badan se utarte hain hum
thakan kā bojh badan se utārte haiñ ham
ye shaam aur kahīñ par guzārte haiñ ham
qadam zamīn pe rakkhe hameñ zamāna huā
so āsmān se ḳhud ko utārte haiñ ham
hamārī ruuh kā hissa hamāre aañsū haiñ
inheñ bhī shauq-e-azīyyat pe vārte haiñ ham
hamārī aañkh se nīñdeñ uḌāne lagtā hai
jise bhī ḳhvāb samajh kar pukārte haiñ ham
ham apne jism kī poshāk ko badalte haiñ
nayā ab aur koī ruup dhārte haiñ ham
thakan ka bojh badan se utarte hain hum
ye sham aur kahin par guzarte hain hum
qadam zamin pe rakkhe hamein zamana hua
so aasman se KHud ko utarte hain hum
hamari ruh ka hissa hamare aansu hain
inhen bhi shauq-e-aziyyat pe warte hain hum
hamari aankh se ninden uDane lagta hai
jise bhi KHwab samajh kar pukarte hain hum
hum apne jism ki poshak ko badalte hain
naya ab aur koi rup dhaarte hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.