thakan ki gard se KHush-rang aahaTon mein aa
thakan kī gard se ḳhush-rañg āhaToñ meñ aa
adāvatoñ ko bhulā de mohabbatoñ meñ aa
na-jāne kab se tirā intizār hai mujh ko
ki niiñd toḌ ke be-ḳhvāb rāstoñ meñ aa
mire ḳhayāl ke saa.e tire badan ke aks
pukārte haiñ mulāqāt kī hadoñ meñ aa
lipaT ga.ī hai mire zehn se tirī ḳhushbū
maiñ jal rahā huuñ ki bārish ke mausamoñ meñ aa
safar kī dhuup pighal jā.egī purānī hai
gulāb ban ke mahak merī dhaḌkanoñ meñ aa
bichhaḌnā hai to bichhaḌ jā tabassumoñ ke saath
jo mujh se pyaar hai tujh ko to pattharoñ meñ aa
jo shaḳhs sho.ala-e-jāñ ban gayā numā.ish meñ
tujhe na luuT le vo merī dhaḌkanoñ meñ aa
thakan ki gard se KHush-rang aahaTon mein aa
adawaton ko bhula de mohabbaton mein aa
na-jaane kab se tera intizar hai mujh ko
ki nind toD ke be-KHwab raston mein aa
mere KHayal ke sae tere badan ke aks
pukarte hain mulaqat ki hadon mein aa
lipaT gai hai mere zehn se teri KHushbu
main jal raha hun ki barish ke mausamon mein aa
safar ki dhup pighal jaegi purani hai
gulab ban ke mahak meri dhaDkanon mein aa
bichhaDna hai to bichhaD ja tabassumon ke sath
jo mujh se pyar hai tujh ko to pattharon mein aa
jo shaKHs shoala-e-jaan ban gaya numaish mein
tujhe na luT le wo meri dhaDkanon mein aa
- Book : Shanasai (Pg. 84)
- Author : Jazib Qureshi
- Publication : Panjab Book House, Urdu Bazar, Karachi (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.