thakan se chur hain aur gard se aTe hain hum
thakan se chuur haiñ aur gard se aTe haiñ ham
nazar uThā ki tirī samt dekhte haiñ ham
vahī charāġh vahī maiñ vahī fusūñ terā
har ek baar yūñhī tujh ko chāhte haiñ ham
tire ḳhayāl kī ḳhushbū udaas kartī hai
tire sarāb kī vaadī meñ gūñjte haiñ ham
ye aur baat tire saath din guzartā hai
ye aur baat tirī niiñd meñ rahe haiñ ham
kabhī kabhī to yuuñ raste meñ shaam hotī hai
ki hausloñ kī tarah ḳhud meñ TūTte haiñ ham
thakan se chur hain aur gard se aTe hain hum
nazar uTha ki teri samt dekhte hain hum
wahi charagh wahi main wahi fusun tera
har ek bar yunhi tujh ko chahte hain hum
tere KHayal ki KHushbu udas karti hai
tere sarab ki wadi mein gunjte hain hum
ye aur baat tere sath din guzarta hai
ye aur baat teri nind mein rahe hain hum
kabhi kabhi to yun raste mein sham hoti hai
ki hauslon ki tarah KHud mein TuTte hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.