thakan se chur tha shab ke kanar baiTh gaya
thakan se chuur thā shab ke kanār baiTh gayā
uThā thā iid kā ik jo ġhubār baiTh gayā
anā ke aage maiñ tan kar khaḌā rahā lekin
mirā nasīb mirā rāhvār baiTh gayā
hunar nahīñ thā sitāro tumhāre hāthoñ meñ
tumhāre tīroñ ke aage shikār baiTh gayā
mahak rahī haiñ azāneñ lahak rahī hai namāz
ḳhudā ke ghar meñ koī bāda-ḳhvār baiTh gayā
ajiib kaif kā aalam thā tere ḳheme meñ
uThā nahīñ jo vahāñ ek baar baiTh gayā
thakan se chur tha shab ke kanar baiTh gaya
uTha tha id ka ek jo ghubar baiTh gaya
ana ke aage main tan kar khaDa raha lekin
mera nasib mera rahwar baiTh gaya
hunar nahin tha sitaro tumhaare hathon mein
tumhaare tiron ke aage shikar baiTh gaya
mahak rahi hain azanen lahak rahi hai namaz
KHuda ke ghar mein koi baada-KHwar baiTh gaya
ajib kaif ka aalam tha tere KHeme mein
uTha nahin jo wahan ek bar baiTh gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.