thakan se dur har ek manzil-e-hayat rahe
thakan se duur har ik manzil-e-hayāt rahe
tirā ḳhayāl safar meñ jo saath saath rahe
miTā diyā unheñ ḳhud vaqt ke taqāzoñ ne
jo log vaqt ke marhūn-e-iltifāt rahe
har ek hādsa-e-zīst se guzar jaa.eñ
hamāre haath meñ jo zindagī kā haath rahe
jo apnī zaat meñ dariyā bhī the samundar bhī
lab-e-furāt vahī tishna-e-furāt rahe
vo ajnabī kī tarah aaj ham se milte haiñ
tamām umr jo 'ḳhusrav' hamāre saath rahe
thakan se dur har ek manzil-e-hayat rahe
tera KHayal safar mein jo sath sath rahe
miTa diya unhen KHud waqt ke taqazon ne
jo log waqt ke marhun-e-iltifat rahe
har ek hadsa-e-zist se guzar jaen
hamare hath mein jo zindagi ka hath rahe
jo apni zat mein dariya bhi the samundar bhi
lab-e-furaat wahi tishna-e-furaat rahe
wo ajnabi ki tarah aaj hum se milte hain
tamam umr jo 'KHusraw' hamare sath rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.