thakan se rah mein chalna muhaal bhi hai mujhe
thakan se raah meñ chalnā muhāl bhī hai mujhe
kamāl par bhī thā maiñ hī zavāl bhī hai mujhe
saḌak pe chalte hue ruk ke dekhtā huuñ maiñ
yahīñ kahīñ hai tū ye ehtimāl bhī hai mujhe
ye mere gird tamāshā hai aañkh khulne tak
maiñ ḳhvāb meñ to huuñ lekin ḳhayāl bhī hai mujhe
usī ke lutf se marne se ḳhauf aatā hai
usī ke Dar se ye jiinā muhāl bhī hai mujhe
savād-e-shām-e-safar hai jalā jalā sā 'munīr'
ḳhushī ke saath ajab sā malāl bhī hai mujhe
thakan se rah mein chalna muhaal bhi hai mujhe
kamal par bhi tha main hi zawal bhi hai mujhe
saDak pe chalte hue ruk ke dekhta hun main
yahin kahin hai tu ye ehtimal bhi hai mujhe
ye mere gird tamasha hai aankh khulne tak
main KHwab mein to hun lekin KHayal bhi hai mujhe
usi ke lutf se marne se KHauf aata hai
usi ke Dar se ye jina muhaal bhi hai mujhe
sawad-e-sham-e-safar hai jala jala sa 'munir'
KHushi ke sath ajab sa malal bhi hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.