thakan se tan-badan TuTa paDa hai
thakan se tan-badan TuuTā paḌā hai
masāfat ko magar rasta paḌā hai
lahū se tar-ba-tar haiñ paañv lekin
hameñ har haal meñ chalnā paḌā hai
yahāñ maiñ tishnagī se jāñ-balab huuñ
udhar mīloñ abhī sahrā paḌā hai
koī sāñseñ bhalā kab tak ḳharīde
ye saudā to bahut mahñgā paḌā hai
ye raat ab tak nahīñ suljhī hai mujh se
udhar din bhī abhī uljhā paḌā hai
maiñ āḳhir ab ise kaise sañbhālūñ
yahāñ to ghar kā ghar bikhrā paḌā hai
bahut bechain sā rahtā huuñ din-bhar
sunā hai gaañv meñ sūkhā paḌā hai
bulātā hai mujhe āvāz de kar
vo mere ghar kā jo malba paḌā hai
mirā chandā gayā pardes jab se
ye ghar āñgan bahut suunā paḌā hai
bahut bezār se lagte ho tum bhī
asar tum par 'nafas' gahrā paḌā hai
thakan se tan-badan TuTa paDa hai
masafat ko magar rasta paDa hai
lahu se tar-ba-tar hain panw lekin
hamein har haal mein chalna paDa hai
yahan main tishnagi se jaan-balab hun
udhar milon abhi sahra paDa hai
koi sansen bhala kab tak KHaride
ye sauda to bahut mahnga paDa hai
ye raat ab tak nahin suljhi hai mujh se
udhar din bhi abhi uljha paDa hai
main aaKHir ab ise kaise sanbhaalun
yahan to ghar ka ghar bikhra paDa hai
bahut bechain sa rahta hun din-bhar
suna hai ganw mein sukha paDa hai
bulata hai mujhe aawaz de kar
wo mere ghar ka jo malba paDa hai
mera chanda gaya pardes jab se
ye ghar aangan bahut suna paDa hai
bahut bezar se lagte ho tum bhi
asar tum par 'nafas' gahra paDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.