thaki hui mamta ki qimat laga rahe hain
thakī huī māmtā kī qīmat lagā rahe haiñ
amiir beTe duā kī qīmat lagā rahe haiñ
maiñ jin ko uñglī pakaḌ ke chalnā sikhā chukā huuñ
vo aaj mere asā kī qīmat lagā rahe haiñ
mirī zarūrat ne fan ko nīlām kar diyā hai
to log merī anā kī qīmat lagā rahe haiñ
maiñ āñdhiyoñ se musālahat kaise kar sakūñgā
charāġh mere havā kī qīmat lagā rahe haiñ
yahāñ pe 'merāj' tere lafzoñ kī aabrū kyā
ye log bāñg-e-darā kī qīmat lagā rahe haiñ
thaki hui mamta ki qimat laga rahe hain
amir beTe dua ki qimat laga rahe hain
main jin ko ungli pakaD ke chalna sikha chuka hun
wo aaj mere asa ki qimat laga rahe hain
meri zarurat ne fan ko nilam kar diya hai
to log meri ana ki qimat laga rahe hain
main aandhiyon se musalahat kaise kar sakunga
charagh mere hawa ki qimat laga rahe hain
yahan pe 'meraj' tere lafzon ki aabru kya
ye log bang-e-dara ki qimat laga rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.