tham ke barso na yahan kachche makanon ne abhi
tham ke barso nā yahāñ kachche makānoñ ne abhī
saaz Tap Tap ke na gaane kī qasam khaa.ī hai
tū bhī āshiq hai samajhtā huuñ maiñ aañsū tere
shoḳh chanchal sī havā khīñch tumheñ laa.ī hai
tum samajhte ho zuleḳhā kī mohabbat kā junūñ
kaise ḳhāliq ko vo āshiq kī adā bhaa.ī hai
tum ko mālūm hai kyoñ misr ke bāzāroñ meñ
sale ye husn kī ḳhud ishq ne lagvā.ī hai
tum garajte ho baḌe shauq se garjo lekin
terī chīḳhoñ meñ mohabbat kī jag-hañsā.ī hai
tum ne sochā hai bahut ishq mohabbat 'haidar'
baat ye dil kī na aqloñ meñ samā paa.ī hai
tham ke barso na yahan kachche makanon ne abhi
saz Tap Tap ke na gane ki qasam khai hai
tu bhi aashiq hai samajhta hun main aansu tere
shoKH chanchal si hawa khinch tumhein lai hai
tum samajhte ho zuleKHa ki mohabbat ka junun
kaise KHaliq ko wo aashiq ki ada bhai hai
tum ko malum hai kyon misr ke bazaron mein
sale ye husn ki KHud ishq ne lagwai hai
tum garajte ho baDe shauq se garjo lekin
teri chiKHon mein mohabbat ki jag-hansai hai
tum ne socha hai bahut ishq mohabbat 'haidar'
baat ye dil ki na aqlon mein sama pai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.