ThanDi hawa chali to ghuTan aur baDh gai
ThanDi hawa chali to ghuTan aur baDh gai
Mohammad Ismail Shadan
MORE BYMohammad Ismail Shadan
ThanDī havā chalī to ghuTan aur baḌh ga.ī
sūraj ke Dūbte hī tapan aur baḌh ga.ī
tark-e-ta.alluqāt se dil muztarib to thā
tum ġhair se mile to jalan aur baḌh ga.ī
dil ko na kuchh malāl thā kāñToñ ke zaḳhm se
phūloñ ke tazkire se chubhan aur baḌh ga.ī
jab rutba-e-buland milā aap ke tufail
māthe ke tazkire se chubhan aur baḌh ga.ī
tausīf terī sun ke zabān-e-raqīb se
milne kī tujh se dil meñ lagan aur baḌh ga.ī
barsoñ safar ke baad bhī manzil na jab milī
himmat ga.ī badan kī thakan aur baḌh ga.ī
phūloñ ke saath dekh kar us kā burā sulūk
'shādāñ' ke dil meñ fikr-e-chaman aur baḌh ga.ī
ThanDi hawa chali to ghuTan aur baDh gai
suraj ke Dubte hi tapan aur baDh gai
tark-e-talluqat se dil muztarib to tha
tum ghair se mile to jalan aur baDh gai
dil ko na kuchh malal tha kanTon ke zaKHm se
phulon ke tazkire se chubhan aur baDh gai
jab rutba-e-buland mila aap ke tufail
mathe ke tazkire se chubhan aur baDh gai
tausif teri sun ke zaban-e-raqib se
milne ki tujh se dil mein lagan aur baDh gai
barson safar ke baad bhi manzil na jab mili
himmat gai badan ki thakan aur baDh gai
phulon ke sath dekh kar us ka bura suluk
'shadan' ke dil mein fikr-e-chaman aur baDh gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.