ThanDi ThanDi tez hawa hai
ThanDī ThanDī tez havā hai
aaj kahīñ paanī barsā hai
jab bhī koī pattā TuuTā hai
maiñ ne sochā jīvan kyā hai
ashkoñ se merī āñkhoñ kā
barsoñ barsoñ kā rishta hai
dil meñ kisī kī yaad ke sadqe
vīrāne meñ shahr basā hai
insāñ hai āvāra-e-manzil
manzil ḳhvāhish kā saayā hai
phuuT paḌeñ ākāsh se kirneñ
jaane 'tābāñ' kaun hañsā hai
ThanDi ThanDi tez hawa hai
aaj kahin pani barsa hai
jab bhi koi patta TuTa hai
main ne socha jiwan kya hai
ashkon se meri aankhon ka
barson barson ka rishta hai
dil mein kisi ki yaad ke sadqe
virane mein shahr basa hai
insan hai aawara-e-manzil
manzil KHwahish ka saya hai
phuT paDen aakash se kirnen
jaane 'taban' kaun hansa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.