thapak ke waqt tamannaon ko sula dega
thapak ke vaqt tamannāoñ ko sulā degā
magar ye raat kā sūraj to phir jagā degā
thakan kā bojh na shab kī muñDer par rakkho
nahīñ to nazroñ se zauq-e-talab girā degā
sabhā meñ sach kī yudhishthir bhī hogā sharminda
daraupadī ko ye insāf aur kyā degā
na pheñk merī taraf sang bad-gumānī ke
bikhar ke aa.ina māhaul ko Darā degā
jo tujh se ho sake to haDDiyoñ se aag uThā
chitā kī raakh to jhoñkā koī uḌā degā
thapak ke waqt tamannaon ko sula dega
magar ye raat ka suraj to phir jaga dega
thakan ka bojh na shab ki munDer par rakkho
nahin to nazron se zauq-e-talab gira dega
sabha mein sach ki yudhishthir bhi hoga sharminda
daraupadi ko ye insaf aur kya dega
na phenk meri taraf sang bad-gumani ke
bikhar ke aaina mahaul ko Dara dega
jo tujh se ho sake to haDDiyon se aag uTha
chita ki rakh to jhonka koi uDa dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.