the jo do chaar mar gae hain kya
the jo do chaar mar ga.e haiñ kyā
vo mire yaar mar ga.e haiñ kyā
mere marne pe kyoñ nahīñ rote
sab ‘azādār mar ga.e haiñ kyā
ab kahāñ haiñ vo chārāgar mere
jā ke us paar mar ga.e haiñ kyā
vo tasallī jo dene aate the
dil-e-bīmār mar ga.e haiñ kyā
har taraf pārsā hī baiThe haiñ
sab gunahgār mar ga.e haiñ kyā
kyoñ hai vīrānī mai-kade meñ aaj
saare mai-ḳhvār mar ga.e haiñ kyā
shahr-e-ḳhasta ye kyā huā tujh ko
tere me'mār mar ga.e haiñ kyā
kyoñ ye kāsa-ba-dast haiñ hākim
jo the ḳhud.dār mar ga.e haiñ kyā
dhuul jamne lagī hai ḳhvāboñ par
sab ḳharīdār mar ga.e haiñ kyā
jo parinde shajar kī raunaq the
vo nadī-pār mar ga.e haiñ kyā
the jo do chaar mar gae hain kya
wo mere yar mar gae hain kya
mere marne pe kyon nahin rote
sab ‘azadar mar gae hain kya
ab kahan hain wo chaaragar mere
ja ke us par mar gae hain kya
wo tasalli jo dene aate the
dil-e-bimar mar gae hain kya
har taraf parsa hi baiThe hain
sab gunahgar mar gae hain kya
kyon hai virani mai-kade mein aaj
sare mai-KHwar mar gae hain kya
shahr-e-KHasta ye kya hua tujh ko
tere me'mar mar gae hain kya
kyon ye kasa-ba-dast hain hakim
jo the KHuddar mar gae hain kya
dhul jamne lagi hai KHwabon par
sab KHaridar mar gae hain kya
jo parinde shajar ki raunaq the
wo nadi-par mar gae hain kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.