the jo mashhur wafaon mein sitamgar nikle
the jo mash.hūr vafāoñ meñ sitamgar nikle
jin se ḳhatra thā mohabbat ke payambar nikle
koshish-e-zabt na kaam aa.ī to kuchh bas na chalā
chand qatre mire ashkoñ ke samundar nikle
vaqt kyoñ ḳhāk-nashīnoñ kā uḌātā hai mazāq
shāyad in meñ koī ham-auj-e-sikandar nikle
e'tirāf is kā har ik daur meñ duniyā ne kiyā
ki jo muflis the vahī dil ke tavangar nikle
zulmat-e-shām-e-shab-e-ġham kā ye aalam hai 'ḳhalīq'
muñh chhupā.e hue jaise mah-o-aḳhtar nikle
the jo mashhur wafaon mein sitamgar nikle
jin se KHatra tha mohabbat ke payambar nikle
koshish-e-zabt na kaam aai to kuchh bas na chala
chand qatre mere ashkon ke samundar nikle
waqt kyon KHak-nashinon ka uData hai mazaq
shayad in mein koi ham-auj-e-sikandar nikle
e'tiraf is ka har ek daur mein duniya ne kiya
ki jo muflis the wahi dil ke tawangar nikle
zulmat-e-sham-e-shab-e-gham ka ye aalam hai 'KHaliq'
munh chhupae hue jaise mah-o-aKHtar nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.