the jo sukun-e-jaan kabhi wo bar ban ke chal diye
the jo sukūn-e-jāñ kabhī vo baar ban ke chal diye
so ham vafā kī raah meñ ġhubār ban ke chal diye
jo raat aañkh meñ rahī to sab nasha hiran huā
surūr ban ke aa.e the ḳhumār ban ke chal diye
nigāh ko bhā rahīñ haiñ kab vo sā.ateñ jo aish thiiñ
jo ḳhair ban ke aa.e the vo ḳhaar ban ke chal diye
qarār the ḳhumār the havā pe vo savār the
vo jo ki nūr-e-ain the vo naar ban ke chal diye
vo jo halq ke paas the jo the talab jo pyaas the
jo der tak the aasrā vo daar ban ke chal diye
vo bholpan vo sādgī fareb thā vo lahja hī
jo mar rahe the yaañ abhī vo maar ban ke chal diye
the jo sukun-e-jaan kabhi wo bar ban ke chal diye
so hum wafa ki rah mein ghubar ban ke chal diye
jo raat aankh mein rahi to sab nasha hiran hua
surur ban ke aae the KHumar ban ke chal diye
nigah ko bha rahin hain kab wo saaten jo aish thin
jo KHair ban ke aae the wo KHar ban ke chal diye
qarar the KHumar the hawa pe wo sawar the
wo jo ki nur-e-ain the wo nar ban ke chal diye
wo jo halq ke pas the jo the talab jo pyas the
jo der tak the aasra wo dar ban ke chal diye
wo bholpan wo sadgi fareb tha wo lahja hi
jo mar rahe the yan abhi wo mar ban ke chal diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.