the zamin par na aasman mein the
the zamīñ par na āsmān meñ the
ham duāoñ ke sā.ebān meñ the
guzre lamhāt se chalo pūchheñ
ham kahāñ aur kis jahān meñ the
kis tarah karte ham ġhazal-rānī
ik tavālat bharī takān meñ the
chāhte tum kahīñ se paḌh lete
ham to har ek dāstān meñ the
karte kirdār apnī marzī ke
pyaar ke qisse har zabān meñ the
ishq rusvā.iyoñ se thā mahfūz
āb-pāre jo nūr-dān meñ the
karte kis kis se āshnā.ī ham
is qadar chehre aks-dān meñ the
the zamin par na aasman mein the
hum duaon ke saeban mein the
guzre lamhat se chalo puchhen
hum kahan aur kis jahan mein the
kis tarah karte hum ghazal-rani
ek tawalat bhari takan mein the
chahte tum kahin se paDh lete
hum to har ek dastan mein the
karte kirdar apni marzi ke
pyar ke qisse har zaban mein the
ishq ruswaiyon se tha mahfuz
aab-pare jo nur-dan mein the
karte kis kis se aashnai hum
is qadar chehre aks-dan mein the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.