thi dhup tez is qadar badan bhi jaise jal gaya
thī dhuup tez is qadar badan bhī jaise jal gayā
magar baḌhā jo merā qad to āftāb Dhal gayā
jab us galī meñ jhuuT kī sunīñ fareb-kāriyāñ
to us galī meñ sach sunā aur aage maiñ nikal gayā
jo merā naam aa gayā vo muskurā ke rah gayā
raqīb kī ḳhushāmadoñ kā zor us pe chal gayā
yahāñ har ek samt haiñ latāfateñ nafāsateñ
kahīñ ye dil Thahar gayā kahīñ ye dil machal gayā
ye rahne vaalā shahr kā yaqīñ na kar sakā kabhī
vo rahne vaalā gaaoñ kā ki jhuuT se bahal gayā
thī mere paas raushnī to vo bhī mere saath thā
añdherā jab huā to vo kahāñ se kab nikal gayā
mujhe nahīñ hai is kā ġham ki muflisī milī mujhe
mujhe ye ġham satā rahā hai us kā kaam chal gayā
hameñ 'niyāzī' aaj bhī tirī vo baat yaad hai
jo gir gayā so gir gayā jo uTh gayā sañbhal gayā
thi dhup tez is qadar badan bhi jaise jal gaya
magar baDha jo mera qad to aaftab Dhal gaya
jab us gali mein jhuT ki sunin fareb-kariyan
to us gali mein sach suna aur aage main nikal gaya
jo mera nam aa gaya wo muskura ke rah gaya
raqib ki KHushamadon ka zor us pe chal gaya
yahan har ek samt hain latafaten nafasaten
kahin ye dil Thahar gaya kahin ye dil machal gaya
ye rahne wala shahr ka yaqin na kar saka kabhi
wo rahne wala gaon ka ki jhuT se bahal gaya
thi mere pas raushni to wo bhi mere sath tha
andhera jab hua to wo kahan se kab nikal gaya
mujhe nahin hai is ka gham ki muflisi mili mujhe
mujhe ye gham sata raha hai us ka kaam chal gaya
hamein 'niyazi' aaj bhi teri wo baat yaad hai
jo gir gaya so gir gaya jo uTh gaya sanbhal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.