thi jis ki saltanat kabhi hadd-e-nigah tak
thī jis kī saltanat kabhī hadd-e-nigāh tak
miltī nahīñ hai us ko kahīñ ab panāh tak
kuchh nek log nār-e-hasad se sulag uThe
pahuñchā jo terā faiz ham ahl-e-gunāh tak
maañ baap ke vajūd se raushan hai itnā ghar
tārīk lag rahe haiñ mujhe mehr-o-māh tak
but-ḳhāna-e-dimāġh kā jaadū utar gayā
pahuñche jab apne dil kī hasīñ ḳhānqāh tak
shatranj khelne meñ hue is tarah magan
dushman kī teġh aa ga.ī ālam-panāh tak
bas itnā hī nahīñ mirā qātil barī huā
mujrim batā diye ga.e mere gavāh tak
denā thā jin ko sher se paiġhām-e-inqalāb
mahdūd ho chuke haiñ faqat vaah vaah tak
sach bolne ke shauq meñ toḌā hai ek dil
nekī ke rāste se ga.e ham gunāh tak
kin kin aziyyatoñ se guzarnā paḌā hameñ
paane se le ke aap ko khone kī chaah tak
terī siyāh chashm se pur-nūr ek raah
aatī hai is 'nabīl' ke qalb-e-siyāh tak
thi jis ki saltanat kabhi hadd-e-nigah tak
milti nahin hai us ko kahin ab panah tak
kuchh nek log nar-e-hasad se sulag uThe
pahuncha jo tera faiz hum ahl-e-gunah tak
man bap ke wajud se raushan hai itna ghar
tarik lag rahe hain mujhe mehr-o-mah tak
but-KHana-e-dimagh ka jadu utar gaya
pahunche jab apne dil ki hasin KHanqah tak
shatranj khelne mein hue is tarah magan
dushman ki tegh aa gai aalam-panah tak
bas itna hi nahin mera qatil bari hua
mujrim bata diye gae mere gawah tak
dena tha jin ko sher se paigham-e-inqalab
mahdud ho chuke hain faqat wah wah tak
sach bolne ke shauq mein toDa hai ek dil
neki ke raste se gae hum gunah tak
kin kin aziyyaton se guzarna paDa hamein
pane se le ke aap ko khone ki chah tak
teri siyah chashm se pur-nur ek rah
aati hai is 'nabil' ke qalb-e-siyah tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.