thi jo anhoni usi baat ko karte dekha
thī jo anhonī usī baat ko karte dekhā
jiite jī dil ko ka.ī martaba marte dekhā
vaqt ko ranj meñ Thahrā huā paayā ham ne
barq-pā gar use rāhat meñ guzarte dekhā
ro ke jī ho gayā halkā to damak uTThā muñh
phuul ko os kī būñdoñ se nikharte dekhā
pyaar hī pyaar meñ jo zaḳhm lagāyā thā kabhī
taaza kuchh aur ugā jab use bharte dekhā
vo ki Thahrāyā gayā thā jise vāzeh mamnūa
ham ne har shaḳhs ko us rah se guzarte dekhā
chāñd ko chāhā ki vo us ke muqābil utre
chehra ā.īne meñ us ne jo sañvarte dekhā
'shaukat' is dahr ko jitnā bhī sameTā ham ne
aap ko phir isī nisbat se bikharte dekhā
thi jo anhoni usi baat ko karte dekha
jite ji dil ko kai martaba marte dekha
waqt ko ranj mein Thahra hua paya hum ne
barq-pa gar use rahat mein guzarte dekha
ro ke ji ho gaya halka to damak uTTha munh
phul ko os ki bundon se nikharte dekha
pyar hi pyar mein jo zaKHm lagaya tha kabhi
taza kuchh aur uga jab use bharte dekha
wo ki Thahraya gaya tha jise wazeh mamnua
hum ne har shaKHs ko us rah se guzarte dekha
chand ko chaha ki wo us ke muqabil utre
chehra aaine mein us ne jo sanwarte dekha
'shaukat' is dahr ko jitna bhi sameTa hum ne
aap ko phir isi nisbat se bikharte dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.