thi jo duniya-e-rang-o-bu tujhse
thī jo duniyā-e-rang-o-bū tujh se
ab lage hai lahū-lahū tujh se
tū ki uTh kar kabhī kā jā bhī chukā
maiñ ki huuñ mahv-e-guftugū tujh se
mere harf-o-navā meñ tū zinda
sīkhā iz.hār-e-ārzū tujh se
ab ufuq tak nazar nahīñ jaatī
dil ko thī terī justujū tujh se
ai mire mujh se rūThne vaale
ab na bolūñgā be-vuzū tujh se
thi jo duniya-e-rang-o-bu tujh se
ab lage hai lahu-lahu tujh se
tu ki uTh kar kabhi ka ja bhi chuka
main ki hun mahw-e-guftugu tujh se
mere harf-o-nawa mein tu zinda
sikha izhaar-e-arzu tujh se
ab ufuq tak nazar nahin jati
dil ko thi teri justuju tujh se
ai mere mujh se ruThne wale
ab na bolunga be-wuzu tujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.