thi mohabbat kabhi faqat tum se
thī mohabbat kabhī faqat tum se
aaj har chiiz ban ga.ī mahbūb
the kabhī tum hī markaz-e-ḳhūbī
aaj koī bhī shai nahīñ nā-ḳhūb
aaj matlūb zarra zarra hai
tum hī tum the kabhī mirā matlūb
'ishq mansūb thā kabhī tum se
aaj tum bhī ho 'ishq se mansūb
maiñ nahīñ maiñ na aaj tum ho tum
ho ga.e ek tālib-o-matlūb
'ishq tanhā haqīqat-e-'ālam
ye haqīqat majāz se mahjūb
hosh hai juzv aur mastī kul
husn sālik hai 'ishq hai majzūb
hoshiyārī hai husn meñ ḳhūbī
hoshiyārī hai 'ishq meñ mā'yūb
ik tabassum hai dūsrā hai aah
ek yūsuf hai dūsrā yā'qūb
be-qarārī meñ 'ishq giriya-e-nūh
sabr meñ 'ishq hazrat-e-ayyūb
rāh-e-iḳhlās meñ ḳhalīl hai 'ishq
'ishq meñ vahm-e-ġhair hai maslūb
thi mohabbat kabhi faqat tum se
aaj har chiz ban gai mahbub
the kabhi tum hi markaz-e-KHubi
aaj koi bhi shai nahin na-KHub
aaj matlub zarra zarra hai
tum hi tum the kabhi mera matlub
'ishq mansub tha kabhi tum se
aaj tum bhi ho 'ishq se mansub
main nahin main na aaj tum ho tum
ho gae ek talib-o-matlub
'ishq tanha haqiqat-e-'alam
ye haqiqat majaz se mahjub
hosh hai juzw aur masti kul
husn salik hai 'ishq hai majzub
hoshiyari hai husn mein KHubi
hoshiyari hai 'ishq mein ma'yub
ek tabassum hai dusra hai aah
ek yusuf hai dusra ya'qub
be-qarari mein 'ishq giriya-e-nuh
sabr mein 'ishq hazrat-e-ayyub
rah-e-iKHlas mein KHalil hai 'ishq
'ishq mein wahm-e-ghair hai maslub
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.