thi nai kafir-ada ki shan hanste bolte
thi nai kafir-ada ki shan hanste bolte
Chandar Bhan Kaifi Dehelvi
MORE BYChandar Bhan Kaifi Dehelvi
thī na.ī kāfir-adā kī shaan hañste bolte
'āshiqoñ ne de diyā īmān hañste bolte
vasl ke hone lage sāmān hañste bolte
mushkileñ apnī huiiñ āsān hañste bolte
ġhair kī jānib hai chehra haath haiñ merī taraf
de rahe haiñ kis adā se paan hañste bolte
jāñkanī meñ maut ke kyā kyā maze lete rahe
'āshiqoñ ne dī ḳhudā ko jaan hañste bolte
ḳhanda-āmezī mire zaḳhm-e-jigar kī dekhnā
aa rahe haiñ yaar ke paikān hañste bolte
saiñkaḌoñ dilbar hazāroñ jaan ke gāhak bane
'āshiqoñ kī chal ga.ī dūkān hañste bolte
mahfil-e-jānāñ meñ us ne aap hī pahuñchā diyā
yaar apnā ho gayā darbān hañste bolte
ham-piyāla vo hue 'kaifī' dam-e-bāda-kashī
ho ga.e puure mire armān hañste bolte
thi nai kafir-ada ki shan hanste bolte
'ashiqon ne de diya iman hanste bolte
wasl ke hone lage saman hanste bolte
mushkilen apni huin aasan hanste bolte
ghair ki jaanib hai chehra hath hain meri taraf
de rahe hain kis ada se pan hanste bolte
jaankani mein maut ke kya kya maze lete rahe
'ashiqon ne di KHuda ko jaan hanste bolte
KHanda-amezi mere zaKHm-e-jigar ki dekhna
aa rahe hain yar ke paikan hanste bolte
sainkaDon dilbar hazaron jaan ke gahak bane
'ashiqon ki chal gai dukan hanste bolte
mahfil-e-jaanan mein us ne aap hi pahuncha diya
yar apna ho gaya darban hanste bolte
ham-piyala wo hue 'kaifi' dam-e-baada-kashi
ho gae pure mere arman hanste bolte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.