thi qahr-e-sadgi bhi sanwarne se peshtar
thī qahr-e-sādgī bhī sañvarne se peshtar
shah-rag pe neshtar thā utarne se peshtar
phirtā huuñ dar-ba-dar maiñ magar misl-e-bū-e-gul
merā bhī thā maqām bikharne se peshtar
be-ashk kyā huā ki maiñ be-aks ho gayā
ā.īna thā ye paanī utarne se peshtar
hijrat se pahle hijr ke the vasvase mujhe
har lamha hādisa thā guzarne se peshtar
is naz-e-intizār ko ik umr ho chalī
kaisī hameshgī hai ye marne se peshtar
thi qahr-e-sadgi bhi sanwarne se peshtar
shah-rag pe neshtar tha utarne se peshtar
phirta hun dar-ba-dar main magar misl-e-bu-e-gul
mera bhi tha maqam bikharne se peshtar
be-ashk kya hua ki main be-aks ho gaya
aaina tha ye pani utarne se peshtar
hijrat se pahle hijr ke the waswase mujhe
har lamha hadisa tha guzarne se peshtar
is naz-e-intizar ko ek umr ho chali
kaisi hameshgi hai ye marne se peshtar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.