thi umid-e-mahr un ko mehrban samjha tha main
thī umīd-e-mahr un ko mehrbāñ samjhā thā maiñ
vo sitam Dhā.eñge mujh par ye kahāñ samjhā thā maiñ
arsh se baḌh chaḌh ke un kā āstāñ samjhā thā maiñ
un ke kūche kī zamīñ ko āsmāñ samjhā thā maiñ
kyoñ na ho dushvār jaanā manzil-e-maqsūd tak
thā bagūlā jis ko gard-e-kārvāñ samjhā thā maiñ
iztirāb-e-dil ne ifshā dard-e-ulfat kar diyā
haa.e nādānī ki us ko rāzdāñ samjhā thā maiñ
ho ga.ī tum par tasadduq ho ga.ī tum par nisār
varna apnī zindagī ko rā.egāñ samjhā thā maiñ
vo na is ghar meñ mile mujh ko na us ghar meñ mile
ka.aba bhī but-ḳhāna bhī un kā makāñ samjhā thā maiñ
aaj vo ek ek kī sau sau sunāne baiThe haiñ
jin ko kal tak be-dahān-o-be-zabāñ samjhā thā maiñ
kah rahe the jab vo mere dard-e-dil kā mājrā
goyā un ke muñh meñ apnī hī zabāñ samjhā thā maiñ
bahr-e-ālam meñ thī merī zindagī misl-e-habāb
haif kyoñ is ko hayāt-e-jāvidāñ samjhā thā maiñ
vahshat-e-dil baḌh ga.ī kyā ḳhaak bahle dil yahāñ
gulshan-e-āfāq ko bāġh-e-jināñ samajhtā thā maiñ
ḳhāl-e-rū-e-dost kī mid.hat na tum se ho sake
shā.iroñ meñ tum ko 'sābir' nukta-dāñ samjhā thā maiñ
thi umid-e-mahr un ko mehrban samjha tha main
wo sitam Dhaenge mujh par ye kahan samjha tha main
arsh se baDh chaDh ke un ka aastan samjha tha main
un ke kuche ki zamin ko aasman samjha tha main
kyon na ho dushwar jaana manzil-e-maqsud tak
tha bagula jis ko gard-e-karwan samjha tha main
iztirab-e-dil ne ifsha dard-e-ulfat kar diya
hae nadani ki us ko raazdan samjha tha main
ho gai tum par tasadduq ho gai tum par nisar
warna apni zindagi ko raegan samjha tha main
wo na is ghar mein mile mujh ko na us ghar mein mile
kaba bhi but-KHana bhi un ka makan samjha tha main
aaj wo ek ek ki sau sau sunane baiThe hain
jin ko kal tak be-dahan-o-be-zaban samjha tha main
kah rahe the jab wo mere dard-e-dil ka majra
goya un ke munh mein apni hi zaban samjha tha main
bahr-e-alam mein thi meri zindagi misl-e-habab
haif kyon is ko hayat-e-jawidan samjha tha main
wahshat-e-dil baDh gai kya KHak bahle dil yahan
gulshan-e-afaq ko bagh-e-jinan samajhta tha main
KHal-e-ru-e-dost ki midhat na tum se ho sake
shairon mein tum ko 'sabir' nukta-dan samjha tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.