thi ye ummid ki wo lauT ke ghar aaega
thī ye ummīd ki vo lauT ke ghar aa.egā
kyā ḳhabar thī ki ba-andāz-e-digar aa.egā
ka.ī zaḳhmoñ ke khañDar ab bhī haiñ mere dil par
jab kuredoge nayā rañg ubhar aa.egā
muskurā.egī jab āñkhoñ meñ sitāroñ kī laḌī
aa.ina ban ke hasīñ ḳhvāb nazar aa.egā
jab bhī lahrā.egī palkoñ pe tirī yaad kī shaam
dil kī vaadī meñ nayā chāñd utar aa.egā
dil kī rāhoñ kā muqaddar hai sarāboñ kā safar
jo bhī aa.egā yahāñ ḳhāk-basar aa.egā
sañg bāroñ kī ye bastī hai yahāñ ai shāhīn
kaun hai le ke jo shīshe kā jigar aa.egā
thi ye ummid ki wo lauT ke ghar aaega
kya KHabar thi ki ba-andaz-e-digar aaega
kai zaKHmon ke khanDar ab bhi hain mere dil par
jab kuredoge naya rang ubhar aaega
muskuraegi jab aankhon mein sitaron ki laDi
aaina ban ke hasin KHwab nazar aaega
jab bhi lahraegi palkon pe teri yaad ki sham
dil ki wadi mein naya chand utar aaega
dil ki rahon ka muqaddar hai sarabon ka safar
jo bhi aaega yahan KHak-basar aaega
sang baron ki ye basti hai yahan ai shahin
kaun hai le ke jo shishe ka jigar aaega
- Book : Gaye Ruton Ke Zakhm (Pg. 28)
- Author : Salma Shaheen
- Publication : Educational Publishing House (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.