thi zarf-e-wazu mein koi shai pi gae kya aap
thī zarf-e-vazū meñ koī shai pī ga.e kyā aap
ai shaiḳh yahāñ kaun hai maiñ chuur huuñ yā aap
dīvānoñ ke sar ho ga.ī kyā zulf-e-dutā aap
vo jā ke gale apne lagā laa.e bulā aap
hañs hañs ke mujhe aap abas kos rahe haiñ
ro ro ke mire vāste māñgeñge du'ā aap
uḌte bhī agar ham to qafas le ke na uḌte
sayyād qafas sū-e-chaman uḌ ke chalā aap
jo uTh nahīñ sakte the ga.e uTh ke lahad meñ
baiThe raheñ ab ghar meñ liye uzr-e-hinā aap
jaate nahīñ ham mast kabhī uTh ke haram se
aatī hai yahāñ uḌ ke mai-e-hosh-rubā aap
kyuuñ phir ga.iiñ kambaḳht kī āñkheñ dam-e-āḳhir
rakhte the bahut ġhair se ummīd-e-vafā aap
āvāz mirī baiThī hai ai hazrat-e-zāhid
kyuuñ bahr-e-azāñ aaj dabāte haiñ galā aap
halkā sā ġhilāf ek thā sayyād qafas par
thī aur na kuchh rok rukī mujh se sabā aap
ham dil meñ utāreñge ye kahtī haiñ nigāheñ
aa jaa.eñ kisī tarah lab-e-bām zarā aap
qaabū kā tumhāre bhī nahīñ josh-e-javānī
be-chheḌe hue TūTte haiñ band-e-qabā aap
mohtāt 'riyāz' aap javānī meñ bahut haiñ
piirī meñ bhī lūTeñge javānī kā mazā aap
thi zarf-e-wazu mein koi shai pi gae kya aap
ai shaiKH yahan kaun hai main chur hun ya aap
diwanon ke sar ho gai kya zulf-e-duta aap
wo ja ke gale apne laga lae bula aap
hans hans ke mujhe aap abas kos rahe hain
ro ro ke mere waste mangenge du'a aap
uDte bhi agar hum to qafas le ke na uDte
sayyaad qafas su-e-chaman uD ke chala aap
jo uTh nahin sakte the gae uTh ke lahad mein
baiThe rahen ab ghar mein liye uzr-e-hina aap
jate nahin hum mast kabhi uTh ke haram se
aati hai yahan uD ke mai-e-hosh-ruba aap
kyun phir gain kambaKHt ki aankhen dam-e-aKHir
rakhte the bahut ghair se ummid-e-wafa aap
aawaz meri baiThi hai ai hazrat-e-zahid
kyun bahr-e-azan aaj dabaate hain gala aap
halka sa ghilaf ek tha sayyaad qafas par
thi aur na kuchh rok ruki mujh se saba aap
hum dil mein utarenge ye kahti hain nigahen
aa jaen kisi tarah lab-e-baam zara aap
qabu ka tumhaare bhi nahin josh-e-jawani
be-chheDe hue TuTte hain band-e-qaba aap
mohtat 'riyaz' aap jawani mein bahut hain
piri mein bhi luTenge jawani ka maza aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.