Thik hai aap be-KHata hi sahi
Thiik hai aap be-ḳhatā hī sahī
merī qātil mirī vafā hī sahī
ham bhī kuchh aise be-maqām nahīñ
tū ḳhudā hai agar ḳhudā hī sahī
qatl honā mirī virāsat hai
qatl karnā tirī adā hī sahī
jā mile sab saf-e-muḳhālif meñ
zad pe tanhā mirī anā hī sahī
chāñd sūraj nahīñ huuñ māñge kā
maiñ ki miTTī kā ik diyā hī sahī
Dastā rahtā hai shab kā sannāTā
jaan bhūle se ik sadā hī sahī
dostī kī bhī koī shart hai kyā
dost hai vo to bevafā hī sahī
saarī maḳhlūq hai ḳhudā vaalī
ham sā ik shaḳhs be-ḳhudā hī sahī
Thik hai aap be-KHata hi sahi
meri qatil meri wafa hi sahi
hum bhi kuchh aise be-maqam nahin
tu KHuda hai agar KHuda hi sahi
qatl hona meri wirasat hai
qatl karna teri ada hi sahi
ja mile sab saf-e-muKHalif mein
zad pe tanha meri ana hi sahi
chand suraj nahin hun mange ka
main ki miTTi ka ek diya hi sahi
Dasta rahta hai shab ka sannaTa
jaan bhule se ek sada hi sahi
dosti ki bhi koi shart hai kya
dost hai wo to bewafa hi sahi
sari maKHluq hai KHuda wali
hum sa ek shaKHs be-KHuda hi sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.