Thik hua jo bik gae sainik muTThi bhar dinaron mein
Thik hua jo bik gae sainik muTThi bhar dinaron mein
Aalok Shrivastav
MORE BYAalok Shrivastav
Thiik huā jo bik ga.e sainik muTThī bhar dīnāroñ meñ
vaise bhī to zañg lagā thā pushtainī hathiyāroñ meñ
sard nasoñ meñ chalte chalte garm lahū jab barf huā
chaar paḌosī jism uThā kar jhoñk aa.e añgāroñ meñ
khetoñ ko muTThī meñ bharnā ab tak siikh nahīñ paayā
yuuñ to merā jīvan biitā sāmantī ayyāroñ meñ
kaise us ke chāl-chalan meñ añgrezī andāz na ho
āḳhir us ne sāñseñ liiñ haiñ pachchhim ke darbāroñ meñ
nazdīkī aksar duurī kā kāran bhī ban jaatī hai
soch-samajh kar ghulnā-milnā apne rishte-dāroñ meñ
chāñd agar puurā chamke to us ke daaġh khaTakte haiñ
ek na ek burā.ī tai hai saare izzat-dāroñ meñ
Thik hua jo bik gae sainik muTThi bhar dinaron mein
waise bhi to zang laga tha pushtaini hathiyaron mein
sard nason mein chalte chalte garm lahu jab barf hua
chaar paDosi jism uTha kar jhonk aae angaron mein
kheton ko muTThi mein bharna ab tak sikh nahin paya
yun to mera jiwan bita samanti ayyaron mein
kaise us ke chaal-chalan mein angrezi andaz na ho
aaKHir us ne sansen lin hain pachchhim ke darbaron mein
nazdiki aksar duri ka karan bhi ban jati hai
soch-samajh kar ghulna-milna apne rishte-daron mein
chand agar pura chamke to us ke dagh khaTakte hain
ek na ek burai tai hai sare izzat-daron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.