thin sabhi mehraben raushan baam-o-dar aabaad the
thin sabhi mehraben raushan baam-o-dar aabaad the
Krishna Kumar Toor
MORE BYKrishna Kumar Toor
thiiñ sabhī mehrābeñ raushan bām-o-dar ābād the
ik zamāna thā ki jab ye saare ghar ābād the
ḳhaak sī uḌtī nazar aatī hai ab har ik taraf
vo bhī din the jab mohabbat ke nagar ābād the
kyā diloñ kī sūrat-e-hālāt tum se ham kaheñ
ye makāñ barbād haiñ ab jis qadar ābād the
ret uḌtī hai ab āñkhoñ meñ magar ik vaqt thā
vasl kī duniyā ke jitne the safar ābād the
vo bhī mausam thā mohabbat kā bahut jāñ-āfrīñ
jab hamāre dil yahāñ shām-o-sahar ābād the
varna kyoñ maz.har meñ aatā vāqi.a me.arāj kā
āsmānoñ se udhar shāyad bashar ābād the
ek ye din haiñ falak-āsār hai 'tūr' ab zamīñ
ek vo din the ki ye shams-o-qamar ābād the
thin sabhi mehraben raushan baam-o-dar aabaad the
ek zamana tha ki jab ye sare ghar aabaad the
KHak si uDti nazar aati hai ab har ek taraf
wo bhi din the jab mohabbat ke nagar aabaad the
kya dilon ki surat-e-haalat tum se hum kahen
ye makan barbaad hain ab jis qadar aabaad the
ret uDti hai ab aankhon mein magar ek waqt tha
wasl ki duniya ke jitne the safar aabaad the
wo bhi mausam tha mohabbat ka bahut jaan-afrin
jab hamare dil yahan sham-o-sahar aabaad the
warna kyon mazhar mein aata waqia mearaj ka
aasmanon se udhar shayad bashar aabaad the
ek ye din hain falak-asar hai 'tur' ab zamin
ek wo din the ki ye shams-o-qamar aabaad the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.