Thikane yun to hazaron tere jahan mein the
Thikāne yuuñ to hazāroñ tire jahān meñ the
koī sadā hameñ rokegī is gumān meñ the
ajiib bastī thī chehre to apne jaise the
magar sahīfe kisī ajnabī zabān meñ the
bahut ḳhushī huī tarkash ke ḳhālī hone par
zarā jo ġhaur kiyā tiir sab kamān meñ the
ilaaj DhūñDh nikāleñge apnī vahshat kā
junūñ-navāz abhī tak isī gumān meñ the
ham ek aisī jagah jā ke lauT kyuuñ aa.e
jahāñ sunā hai ki sab āḳhirī zamān meñ the
Thikane yun to hazaron tere jahan mein the
koi sada hamein rokegi is guman mein the
ajib basti thi chehre to apne jaise the
magar sahife kisi ajnabi zaban mein the
bahut KHushi hui tarkash ke KHali hone par
zara jo ghaur kiya tir sab kaman mein the
ilaj DhunDh nikalenge apni wahshat ka
junun-nawaz abhi tak isi guman mein the
hum ek aisi jagah ja ke lauT kyun aae
jahan suna hai ki sab aaKHiri zaman mein the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.