thoDa sa aur mujhko tu apne qarib kar
thoḌā sā aur mujh ko tū apne qarīb kar
nekī isī kā naam hai mere habīb kar
kyā kyā nahīñ sunā tire baare meñ āj-kal
uTh kar dikhā dhamāl yā kuchh to ajiib kar
pahle bhī muflisī kī huuñ sidra pe yaar maiñ
dāman chhuḌā ke aur na mujh ko ġharīb kar
mānūs ho chukā huuñ maiñ is ārize se ab
apnā tujhe jo kaam hai jā ke tabīb kar
detā huuñ vāsta maiñ tujhe panjatan kā aaj
ai zāt-e-lam-yazl mere achchhe nasīb kar
hijrat ke is azaab se ḳhā.if nahīñ 'sahar'
lekin nazar se duur ye merā raqīb kar
thoDa sa aur mujh ko tu apne qarib kar
neki isi ka nam hai mere habib kar
kya kya nahin suna tere bare mein aaj-kal
uTh kar dikha dhamal ya kuchh to ajib kar
pahle bhi muflisi ki hun sidra pe yar main
daman chhuDa ke aur na mujh ko gharib kar
manus ho chuka hun main is aarize se ab
apna tujhe jo kaam hai ja ke tabib kar
deta hun wasta main tujhe panjatan ka aaj
ai zat-e-lam-yazl mere achchhe nasib kar
hijrat ke is azab se KHaif nahin 'sahar'
lekin nazar se dur ye mera raqib kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.