thoDa sa mahaul banana hota hai
thoḌā sā māhaul banānā hotā hai
varna kisī ke saath zamāna hotā hai
sachchā sher sunāne vaale ḳhatm hue
ab to ḳhālī khel dikhānā hotā hai
aañsū pahlī shart hai is samjhaute kī
ġham to sāñsoñ kā jurmāna hotā hai
lāl-qile kī dīvāroñ par likhvā do
dil sab se mahfūz Thikānā hotā hai
duniyā meñ bhar-mār hai naqlī logoñ kī
sau meñ koī ek divāna hotā hai
raat hamāre ghar jaldī aa jaayā kar
hameñ savere kaam pe jaanā hotā hai
aisī koī baat nahīñ māyūsī kī
sach meñ thoḌā sā afsāna hotā hai
sab kī apnī ek ikaa.ī hotī hai
sab kā apnā ek zamāna hotā hai
ham ne to un ko bhī luTte dekhā hai
jin ke chār-qadam par thāna hotā hai
aaj bichhaḌte vaqt mujhe ma.alūm huā
logoñ meñ ehsās kā ḳhāna hotā hai
thoDa sa mahaul banana hota hai
warna kisi ke sath zamana hota hai
sachcha sher sunane wale KHatm hue
ab to KHali khel dikhana hota hai
aansu pahli shart hai is samjhaute ki
gham to sanson ka jurmana hota hai
lal-qile ki diwaron par likhwa do
dil sab se mahfuz Thikana hota hai
duniya mein bhar-mar hai naqli logon ki
sau mein koi ek diwana hota hai
raat hamare ghar jaldi aa jaya kar
hamein sawere kaam pe jaana hota hai
aisi koi baat nahin mayusi ki
sach mein thoDa sa afsana hota hai
sab ki apni ek ikai hoti hai
sab ka apna ek zamana hota hai
hum ne to un ko bhi luTte dekha hai
jin ke chaar-qadam par thana hota hai
aaj bichhaDte waqt mujhe malum hua
logon mein ehsas ka KHana hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.