thoDa sa rang raat ke chehre pe Dal do
thoḌā sā rañg raat ke chehre pe Daal do
kyā sochte ho jaam havā meñ uchhāl do
samjhegā kaun ruuh kī gahrā.iyoñ ke raaz
pūchhe koī to bātoñ hī bātoñ meñ Taal do
sūraj hai aur pyaas ke maare hue haiñ log
saarī ḳhudā.ī barf ke paanī meñ Daal do
zindāñ meñ kis liye mujhe karte ho tum asiir
dīvāna huuñ to shahr se bāhar nikāl do
saa.e ke pīchhe bhāgte phirne se fā.eda
har aarzū ko jism ke paikar meñ Dhaal do
vaise ye tīrgī bhī burī chiiz to nahīñ
lekin kabhī to aa ke diloñ ko ujaal do
'shahzād' dostī meñ bhalā kyā milā tumheñ
ho ahl-e-dil to dil kā janāza nikāl do
thoDa sa rang raat ke chehre pe Dal do
kya sochte ho jam hawa mein uchhaal do
samjhega kaun ruh ki gahraiyon ke raaz
puchhe koi to baaton hi baaton mein Tal do
suraj hai aur pyas ke mare hue hain log
sari KHudai barf ke pani mein Dal do
zindan mein kis liye mujhe karte ho tum asir
diwana hun to shahr se bahar nikal do
sae ke pichhe bhagte phirne se faeda
har aarzu ko jism ke paikar mein Dhaal do
waise ye tirgi bhi buri chiz to nahin
lekin kabhi to aa ke dilon ko ujal do
'shahzad' dosti mein bhala kya mila tumhein
ho ahl-e-dil to dil ka janaza nikal do
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 395)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.