Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

thoDa sa zindagi ka KHasara zarur hai

Mayank Awasthi

thoDa sa zindagi ka KHasara zarur hai

Mayank Awasthi

MORE BYMayank Awasthi

    thoḌā zindagī ḳhasāra zarūr hai

    par ġham ne dil rañg nikhārā zarūr hai

    mahtāb phir rahā hai ḳhalāoñ meñ is tarah

    jaise ki āsmāñ kināra zarūr hai

    aalam meñ dekhiye to koī bhī ḳhudā nahīñ

    aalam ḳhudā samt ishāra zarūr hai

    ham ko yaqīñ hai aap ko dil kitāb meñ

    ik an-likhe naam hamārā zarūr hai

    kyā jāniye vo shoḳh samundar hai sarāb

    jo bhī ho tishnagī sahārā zarūr hai

    vaise mirī zabāñ pe koī aur lafz thā

    par dost kah ke tujh ko pukārā zarūr hai

    kuchh sher kah ke ham ko gumāñ ye huā 'mayañk'

    ik āsmāñ zamīñ pe utārā zarūr hai

    thoDa sa zindagi ka KHasara zarur hai

    par gham ne dil ka rang nikhaara zarur hai

    mahtab phir raha hai KHalaon mein is tarah

    jaise ki aasman ka kinara zarur hai

    aalam mein dekhiye to koi bhi KHuda nahin

    aalam KHuda ki samt ishaara zarur hai

    hum ko yaqin hai aap ko dil ki kitab mein

    ek an-likhe sa nam hamara zarur hai

    kya jaaniye wo shoKH samundar hai ya sarab

    jo bhi ho tishnagi ka sahaara zarur hai

    waise meri zaban pe koi aur lafz tha

    par dost kah ke tujh ko pukara zarur hai

    kuchh sher kah ke hum ko guman ye hua 'mayank'

    ek aasman zamin pe utara zarur hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now