Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

thoDi der ai saqi bazm mein ujala hai

Salam Machhli shahri

thoDi der ai saqi bazm mein ujala hai

Salam Machhli shahri

MORE BYSalam Machhli shahri

    thoḌī der ai saaqī bazm meñ ujālā hai

    jaam ḳhālī hone tak chāñd Dhalne vaalā hai

    sub.h hasīñ kirneñ naag ban ke Das leñgī

    maiñ inheñ samajhtā huuñ maiñ ne un ko paalā hai

    bazm-e-nau sham.oñ ko ye ḳhabar nahīñ hogī

    kis ne zulmat-e-shab ko raushnī meñ Dhālā hai

    kis ne ḳhvāb-e-insāñ ke nuqra.ī safīne ko

    saḳht-tar talātum zad meñ bhī sambhālā hai

    log hañs ke kah deñge maiñ ḳharāb-e-sahbā thā

    mai-kada ye ḳhush hogā us bol-bālā hai

    merī fikr ḳhushbū qaid ho nahīñ saktī

    yuuñ to mere hoñToñ par maslahat taalā hai

    merī maut ai saaqī irtiqā hai hastī

    ik 'salām' jaatā hai ek aane vaalā hai

    thoDi der ai saqi bazm mein ujala hai

    jam KHali hone tak chand Dhalne wala hai

    subh ki hasin kirnen nag ban ke Das lengi

    main inhen samajhta hun main ne un ko pala hai

    bazm-e-nau ki shamon ko ye KHabar nahin hogi

    kis ne zulmat-e-shab ko raushni mein Dhaala hai

    kis ne KHwab-e-insan ke nuqrai safine ko

    saKHt-tar talatum ki zad mein bhi sambhaala hai

    log hans ke kah denge main KHarab-e-sahba tha

    mai-kada ye KHush hoga us ka bol-baala hai

    meri fikr ki KHushbu qaid ho nahin sakti

    yun to mere honTon par maslahat ka tala hai

    meri maut ai saqi irtiqa hai hasti ka

    ek 'salam' jata hai ek aane wala hai

    Source :
    • Book : Intekhab-e-Kalam Salam Machhli Shahri (Pg. 106)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now