thoDi si income ki KHatir be-chaaron ko mar diya
thoḌī sī income kī ḳhātir be-chāroñ ko maar diyā
chand DākTroñ kī haḌtāloñ ne bīmāroñ ko maar diyā
america meñ T-V-chanel chupke se dar aa.e the
chal nikle to urdu ke sab aḳhbāroñ ko maar diyā
abbā-jī ke business se har beTe ne muñh pher liyā
kursī kī lālach ne kitne lohāroñ ko maar diyā
har taalī par note nichhāvar har lai par london kā ticket
''lālū-khet'' ke qavvāloñ ne fankāroñ ko maar diyā
masnūī bāloñ kā thappaḌ kaafī bhārī hotā hai
us kī zulfoñ ne hil hil ke ruḳhsāroñ ko maar diyā
ek vazīr-e-āzam hai ik bhaa.ī vazīr-e-ālā hai
jamhūrī dāvedāroñ ne haq-dāroñ ko maar diyā
maġhrib kī tahzīb kā hamla ab ke itnā kaarī hai
jeans ko sastā kar ke us ne shalvāroñ ko maar diyā
jitne bhī dil-pheñk the shā.er U-S meñ ābād hue
night-kalboñ kī raunaq ne bechāroñ ko maar diyā
mazdūrī par jaatā huuñ to sher sisakte rahte haiñ
dollar kī ḳhvāhish ne mere fan-pāroñ ko maar diyā
thoDi si income ki KHatir be-chaaron ko mar diya
chand DakTron ki haDtalon ne bimaron ko mar diya
america mein T-V-chanel chupke se dar aae the
chal nikle to urdu ke sab aKHbaron ko mar diya
abba-ji ke business se har beTe ne munh pher liya
kursi ki lalach ne kitne lohaaron ko mar diya
har tali par note nichhawar har lai par london ka ticket
lalu-khet ke qawwalon ne fankaron ko mar diya
masnui baalon ka thappaD kafi bhaari hota hai
us ki zulfon ne hil hil ke ruKHsaron ko mar diya
ek wazir-e-azam hai ek bhai wazir-e-ala hai
jamhuri dawedaron ne haq-daron ko mar diya
maghrib ki tahzib ka hamla ab ke itna kari hai
jeans ko sasta kar ke us ne shalwaron ko mar diya
jitne bhi dil-phenk the shaer U-S mein aabaad hue
night-kalbon ki raunaq ne bechaaron ko mar diya
mazduri par jata hun to sher sisakte rahte hain
dollar ki KHwahish ne mere fan-paron ko mar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.