Thokaren khaya hua patthar KHuda hona hi tha
Thokareñ khāyā huā patthar ḳhudā honā hī thā
mere gir jaane se us kā qad baḌā honā hī thā
us shajar ke suukh jaane kā sabab tanhā.ī thī
ik parinda aa ke baiThā to harā honā hī thā
daam kuchh apne ziyāda lag rahe the in dinoñ
phir hameñ bāzār meñ sab se judā honā hī thā
ab imārat Dah rahī hai jism kī to ḳhauf kyoñ
bārishoñ meñ bhīgne kā shauq thā honā hī thā
sab ko hairat hai ki maiñ tujh se bichhaḌ kaise gayā
kuchh na kuchh to is kahānī meñ nayā honā hī thā
Thokaren khaya hua patthar KHuda hona hi tha
mere gir jaane se us ka qad baDa hona hi tha
us shajar ke sukh jaane ka sabab tanhai thi
ek parinda aa ke baiTha to hara hona hi tha
dam kuchh apne ziyaada lag rahe the in dinon
phir hamein bazar mein sab se juda hona hi tha
ab imarat Dah rahi hai jism ki to KHauf kyon
barishon mein bhigne ka shauq tha hona hi tha
sab ko hairat hai ki main tujh se bichhaD kaise gaya
kuchh na kuchh to is kahani mein naya hona hi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.