Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Thokaren woTon ke badle mein anaDi le gaya

Deedar Bastawi

Thokaren woTon ke badle mein anaDi le gaya

Deedar Bastawi

MORE BYDeedar Bastawi

    Thokareñ voToñ ke badle meñ anāḌī le gayā

    māl-o-daulat sab siyāsat khilāḌī le gayā

    maġhribī tahzīb hamla huā kuchh is tarah

    sar se Topī aur phir chehre se dāḌhī le gayā

    maiñ thā mahv-e-shauq station ke waiting room meñ

    koī apne saath merī rail-gāḌī le gayā

    dūsre kheloñ meñ laḌke jūtiyāñ ghiste rahe

    saarā paisa ek cricket khilāḌī le gayā

    Taal kar bahnoñ ko aglī eid ke va.ade pe vo

    apnī biivī ke liye resham saaḌī le gayā

    'mīr'-o-'ġhālib' daftar-e-urdu meñ nange ho ga.e

    kauḌiyoñ ke bhaav meñ sab ko kabāḌī le gayā

    mahñge injection davā goliyāñ aur botaleñ

    muḳhtasar zaḳhm do din dihāḌī le gayā

    maiñ khaḌā taktā rahā 'dīdār' hasrat se unheñ

    family ko lunch pe jab mārvāḌī le gayā

    Thokaren woTon ke badle mein anaDi le gaya

    mal-o-daulat sab siyasat ka khilaDi le gaya

    maghribi tahzib ka hamla hua kuchh is tarah

    sar se Topi aur phir chehre se daDhi le gaya

    main tha mahw-e-shauq station ke waiting room mein

    koi apne sath meri rail-gaDi le gaya

    dusre khelon mein laDke jutiyan ghiste rahe

    sara paisa ek cricket ka khilaDi le gaya

    Tal kar bahnon ko agli eid ke wade pe wo

    apni biwi ke liye resham ki saDi le gaya

    'mir'-o-'ghaalib' daftar-e-urdu mein nange ho gae

    kauDiyon ke bhaw mein sab ko kabaDi le gaya

    mahnge injection dawa ki goliyan aur botalen

    muKHtasar sa zaKHm do din ki dihaDi le gaya

    main khaDa takta raha 'didar' hasrat se unhen

    family ko lunch pe jab marwaDi le gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now