Thokaron mein asar nahin aaya
Thokaroñ meñ asar nahīñ aayā
dil abhī raah par nahīñ aayā
ḳhud meñ dekhā jo jhāñk kar tire baad
mujh ko maiñ bhī nazar nahīñ aayā
muddatoñ se sukūt chīḳhtā hai
lekin ab tak asar nahīñ aayā
chāñd kis tamkanat se niklegā
tū agar baam par nahīñ aayā
kab se ghar chhoḌ kar gayā huā huuñ
kab se maiñ lauT kar nahīñ aayā
Thokaron mein asar nahin aaya
dil abhi rah par nahin aaya
KHud mein dekha jo jhank kar tere baad
mujh ko main bhi nazar nahin aaya
muddaton se sukut chiKHta hai
lekin ab tak asar nahin aaya
chand kis tamkanat se niklega
tu agar baam par nahin aaya
kab se ghar chhoD kar gaya hua hun
kab se main lauT kar nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.