Thukrae hue dil ki yaad aai to kya aai
Thukrā.e hue dil kī yaad aa.ī to kyā aa.ī
pheñkā huā shīsha thā TuuTā to sadā aa.ī
din zauq-e-navāzish se begāna sahī lekin
jalva hai na sho.ala hai raat aa.ī to kyā aa.ī
ishrat-gah-e-bātil kī raunaq meñ kamī kyā hai
gar bād-e-sabā jā kar ik sham.a bujhā aa.ī
baḌhtī huī betābī kuchh ruuTh ga.ī shāyad
jhaTke hue dāman se hāthoñ ko hayā aa.ī
uThtā hai qadam lekin raftār ġhunūda hai
niiñd aa ga.ī rastoñ ko manzil kī havā aa.ī
hai kuchh to 'nushūr' ehsāñ is umr-e-ravāñ kā bhī
ik roz kināre par kashtī to lagā aa.ī
Thukrae hue dil ki yaad aai to kya aai
phenka hua shisha tha TuTa to sada aai
din zauq-e-nawazish se begana sahi lekin
jalwa hai na shoala hai raat aai to kya aai
ishrat-gah-e-baatil ki raunaq mein kami kya hai
gar baad-e-saba ja kar ek shama bujha aai
baDhti hui betabi kuchh ruTh gai shayad
jhaTke hue daman se hathon ko haya aai
uThta hai qadam lekin raftar ghunuda hai
nind aa gai raston ko manzil ki hawa aai
hai kuchh to 'nushur' ehsan is umr-e-rawan ka bhi
ek roz kinare par kashti to laga aai
- Book : Sawad-e-manzil (Pg. 229)
- Author : Nushoor wahedi
- Publication : Sarvat Wahidi D/o Nushoor wahedi (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.