tir bhi KHud ko mar leta hun
tiir bhī ḳhud ko maar letā huuñ
maiñ hī ḳhud ko sañvār letā huuñ
dūsroñ kā udhār denā hai
dūsroñ se udhār letā huuñ
maut jab tak mujhe nahīñ aatī
zindagī hī guzār letā huuñ
rizq-e-ulfat nahīñ khilā mujh ko
peT bhar ke Dakār letā huuñ
jītnā chāhtā huuñ maiñ sab se
is liye sab se haar letā huuñ
us ko vāpas bhī phir nahīñ detā
jab kisī se maiñ pyaar letā huuñ
roz ulfat ke āsmāñ se 'naqī'
ek taarā utaar letā huuñ
tir bhi KHud ko mar leta hun
main hi KHud ko sanwar leta hun
dusron ka udhaar dena hai
dusron se udhaar leta hun
maut jab tak mujhe nahin aati
zindagi hi guzar leta hun
rizq-e-ulfat nahin khila mujh ko
peT bhar ke Dakar leta hun
jitna chahta hun main sab se
is liye sab se haar leta hun
us ko wapas bhi phir nahin deta
jab kisi se main pyar leta hun
roz ulfat ke aasman se 'naqi'
ek tara utar leta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.