Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tir chille pe na aana ki KHata ho jaana

Hafeez Jalandhari

tir chille pe na aana ki KHata ho jaana

Hafeez Jalandhari

MORE BYHafeez Jalandhari

    tiir chille pe na aanā ki ḳhatā ho jaanā

    lab tak aate hue shikve duā ho jaanā

    yaad hai us but-e-kāfir ḳhafā ho jaanā

    aur mirā bhuul ke mā.il-ba-duā ho jaanā

    hairat-añgez hai naqqāsh-e-azal ke hāthoñ

    merī tasvīr tasvīr-e-fanā ho jaanā

    dast-e-taqdīr meñ shamshīr-e-jafā denā hai

    ḳhud-ba-ḳhud banda-e-taslīm-o-razā ho jaanā

    us uftād pe ḳhurshīd rif.at qurbāñ

    jis ko bhāyā tirā naqsh-e-kaf-e-pā ho jaanā

    raunaq-e-bazm hai shevan se to shevan sahī

    ham-safīrān-e-chaman phir na ḳhafā ho jaanā

    dāvar-e-hashr insāf ishāre un ke

    bas yahī hai kisī bande ḳhudā ho jaanā

    tir chille pe na aana ki KHata ho jaana

    lab tak aate hue shikwe ka dua ho jaana

    yaad hai us but-e-kafir ka KHafa ho jaana

    aur mera bhul ke mail-ba-dua ho jaana

    hairat-angez hai naqqash-e-azal ke hathon

    meri taswir ka taswir-e-fana ho jaana

    dast-e-taqdir mein shamshir-e-jafa dena hai

    KHud-ba-KHud banda-e-taslim-o-raza ho jaana

    us ki uftad pe KHurshid ki rifat qurban

    jis ko bhaya tera naqsh-e-kaf-e-pa ho jaana

    raunaq-e-bazm hai shewan se to shewan hi sahi

    ham-safiran-e-chaman phir na KHafa ho jaana

    dawar-e-hashr ka insaf ishaare un ke

    bas yahi hai kisi bande ka KHuda ho jaana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now