tir-e-nazar chalate hue muskura bhi de
tir-e-nazar chalate hue muskura bhi de
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
tīr-e-nazar chalāte hue muskurā bhī de
āmāda qatl par hai to bijlī girā bhī de
ruḳh se naqāb uThā ke karishma dikhā bhī de
sūraj ko chāñd chāñd ko sūraj banā bhī de
manzil hai terī hadd-e-ta.ayyun se māvarā
dair-o-haram ke naqsh ko dil se miTā bhī de
har sū se us pe dast-e-sitam kī hai maar maar
allāh marīz-e-ġham ko koī aasrā bhī de
sajde haiñ laakh naqsh-e-kaf-e-pā ke muntazir
ye sar nahīñ hai arsh-e-sahar aa jhukā bhī de
tir-e-nazar chalate hue muskura bhi de
aamada qatl par hai to bijli gira bhi de
ruKH se naqab uTha ke karishma dikha bhi de
suraj ko chand chand ko suraj bana bhi de
manzil hai teri hadd-e-tayyun se mawara
dair-o-haram ke naqsh ko dil se miTa bhi de
har su se us pe dast-e-sitam ki hai mar mar
allah mariz-e-gham ko koi aasra bhi de
sajde hain lakh naqsh-e-kaf-e-pa ke muntazir
ye sar nahin hai arsh-e-sahar aa jhuka bhi de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.