tir-e-ulfat abhi kaman mein hai
tīr-e-ulfat abhī kamān meñ hai
vo mire dil nahīñ dhiyān meñ hai
rauñd kar āshiyāna-e-ġhamgīñ
mauj-e-dariyā bhī itminān meñ hai
vā'da-e-sub.h thā magar kambaḳht
hijr kī raat darmiyān meñ hai
ashk āñkhoñ meñ is tarah Thahre
jaise chashma kisī chaTān meñ hai
tir-e-ulfat abhi kaman mein hai
wo mere dil nahin dhiyan mein hai
raund kar aashiyana-e-ghamgin
mauj-e-dariya bhi itminan mein hai
wa'da-e-subh tha magar kambaKHt
hijr ki raat darmiyan mein hai
ashk aankhon mein is tarah Thahre
jaise chashma kisi chaTan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.