tir kha kar bhi mohabbat ki sada chalti hai
tiir khā kar bhī mohabbat kī sadā chaltī hai
mere qātil tirī talvār judā chaltī hai
jis ko dekho vo ta.āqub meñ lagā rahtā hai
maiñ jo jhuktā huuñ to nafrat kī havā chaltī hai
yuuñ to bebāk ho ke chaltā hai vo apnoñ meñ
dil meñ kyoñ ġhairoñ ke sāzish kī havā chaltī hai
biich dariyā meñ kahīñ vo na Dubo de ham ko
saath dariyā ke koī mauj-e-balā chaltī hai
merī yādoñ meñ tirā aks chamaktā hī rahe
ab to hoñToñ pe yahī ek duā chaltī hai
mere 'mohsin' tirā ehsān sadā mujh pe rahe
aaj itrā ke hī kyoñ bād-e-sabā chaltī hai
tir kha kar bhi mohabbat ki sada chalti hai
mere qatil teri talwar juda chalti hai
jis ko dekho wo taaqub mein laga rahta hai
main jo jhukta hun to nafrat ki hawa chalti hai
yun to bebak ho ke chalta hai wo apnon mein
dil mein kyon ghairon ke sazish ki hawa chalti hai
bich dariya mein kahin wo na Dubo de hum ko
sath dariya ke koi mauj-e-bala chalti hai
meri yaadon mein tera aks chamakta hi rahe
ab to honTon pe yahi ek dua chalti hai
mere 'mohsin' tera ehsan sada mujh pe rahe
aaj itra ke hi kyon baad-e-saba chalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.